• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Mohabbat Nur Hai Jaanan

Mohabbat Nur Hai Jaanan

naz-butt

zamana is ki khvahish men azal se chuur hai janan

mohabbat nuur hai janan

mohabbat nuur hai janan

rukh-e-mahtab se raushan nigar-e-khvab se raushan

nazar men khulne vaale sabza-e-shadab se raushan

sitaron se kahin badh kar chamak is ke jilau men hai

jo ab-o-tab hai is men kahan suraj ki zau men hai

ye nakhl-e-ishq par jaise vafa ka baur hai janan

mohabbat nuur hai janan

mohabbat nuur hai janan

ye jis dil men utar jaae use maamur kar jaae

sarapa rang kar jaae tamannaon se bhar jaae

ye aisa kaif hai jo har qadam par zindagi pur-nur karta hai

utar kar ruuh men is ke andhere duur karta hai

ye vo ehsas hai jo har ghadi bharpur hai janan

mohabbat nuur hai janan

mohabbat nuur hai janan

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHata Gaya Jo Nishana Kaman Badalta Hai

Sab Ki bigDi Ko Banane Nikle

sahir-ludhianvi

Lab Pe Pabandi To Hai Ehsas Par Pahra To Hai

Is Dil Ko Tah-E-Tegh Sula Kyon Nahin Dete

Sufi

Ta Mast-O-Ashiq-e-Rukh-e-Jaanana Gashta-Am

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet