ai ranj-e-agahi koi chara to hoga na
chal ḳhush na rah sakenge guzara to hoga na
ye aarzu bhi vaqt ke dhare men bah ga.i
ab naan sahi kabhi vo hamara to hoga na
jaati hai jo mata-e-dil-o-jan to kya malal
ye ishq ki dukan hai ḳhasara to hoga na
har aan jis ka zikr hai us be-niyaz ne
bhule se mera naam pukara to hoga na
main zad-e-rah ke taur pe bas ḳhvab laa.i huun
ai ham-safar tujhe ye gavara to hoga na
kya ajnabi banenge agar phir kabhi mile
kya baat bhi na hogi ishara to hoga na
karna karana chhoḌ zabani hi saath de
tinke ka ho agarche sahara to hoga na
Leave a Reply