hava ashufta-tar rakhti hai ham ashufta-halon ko
baratna chahti hai dasht-e-majnun ke havalon ko
na aaya kuchh magar ham kushtagan-e-shauq ko aaya
hava ki zad men aḳhir be-sipar rakhna ḳhayalon ko
ḳhuda rakkhe tujhe ai naqsh-e-divar-e-sanam-ḳhana
kahenge log divar-e-abad teri misalon ko
andheri raat men ik dasht-e-vahshat zindagi nikli
chala jaata huun daman-e-nazar deta ujalon ko
bujha jaata hai dil sa ek la.al-e-shab charagh aḳhir
kahan le ja.un us ke saath ke sahib-jamalon ko
khaḌi hai taaj pahne shahr men ḳhar-e-mughilan ka
javab-e-taza dene zindagi kohna savalon ko
ḳhayaban ḳhandaqon men khul ga.e vo mauj-e-ḳhun guzri
hava-e-zaḳhma-var ne saaz samjha hai nihalon ko
nikalne hi na paa.e halqa-e-dasht-e-tamanna se
mili thi gardish-e-parkar aisi kuchh ghazalon ko
subu men maujzan ab-e-zamir-e-mai-gusaran hai
tulu-e-sub.h tak raushan rakkhenge ham piyalon ko
kabud o surḳh men thi nek o bad men daagh o darman men
hava sayyah thi dekh aa.i sab gham ke shivalon ko
taghayyur ki zamin par aadmi ka tez-rau partav
gaya hai surat-e-mish.al liye a.inda salon ko
Leave a Reply