chandni men rukh-e-zeba nahin dekha jaata
maah o khurshid ko yakja nahin dekha jaata
yuun to un ankhon se kya kya nahin dekha jaata
haan magar apna hi jalva nahin dekha jaata
dida-o-dil ki tabahi mujhe manzur magar
un ka utra hua chehra nahin dekha jaata
zabt-e-gham haan vahi ashkon ka talatum ik baar
ab to sukha hua dariya nahin dekha jaata
zindagi aa tujhe qatil ke havale kar duun
mujh se ab khun-e-tamanna nahin dekha jaata
ab to jhuti bhi tasalli ba-sar-o-chashm qubul
dil ka rah rah ke tadapna nahin dekha jaata
Leave a Reply