• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Jhamakte Jhumte Mausam Ka dhoka Kha Raha Hun Main

Jhamakte Jhumte Mausam Ka dhoka Kha Raha Hun Main

qateel-shifai

jhamakte jhumte mausam ka dhoka kha raha huun main

bahut lahrae hain badal magar pyasa raha huun main

hui jab dhuup ki barish mire sar par to kya hoga

darakhton ke ghane sayon men bhi sanvla raha huun main

vahi kuchh kar raha huun jo kiya mere buzurgon ne

nae zehnon pe apne tajrbe barsa raha huun main

ye tohmat khaak tohmat hai mire ham-jurm ham-sayo

tumhari umr men tum se kahin rusva raha huun main

khayal aata hai bazaron ki raunaq dekh kar mujh ko

bhare dariya men tinka ban ke bahta ja raha huun main

tiri aghosh chhuti to mili vo bad-dua mujh ko

ki ab apni hi banhon men simatta ja raha huun main

‘qatil’ ab tak nadamat hai mujhe tark-e-mohabbat par

zara sa jurm kar ke aaj bhi pachhta raha huun main

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yaqin Ki Had Mein Hun Ya Warta-E-Guman Mein Hun

waseem-barelvi

Kitna dushwar Tha duniya Ye Hunar Aana Bhi

mirza-ghalib

daim Pada Hua Tere dar Par Nahin Hun Main

Dimagh-O-Dida-O-Dil Bar-Sar-E-Paikar Hote Hain

poet

KHak Mein Mujhko Meri Jaan Mila Rakkha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet