ik ḳhvab ke mauhum nishan DhunD raha tha
main hadd-e-yaqin par bhi guman DhunD raha tha
saa.e ki tarah bhagte mahaul ke andar
main apne ḳhayalon ka jahan DhunD raha tha
jo raaz hai vo khul ke bhi ik raaz hi rah jaa.e
iz.har ko main aisi zaban DhunD raha tha
marham ki tamanna thi mujhe zaḳhm se bahar
darman tha kahan aur kahan DhunD raha tha
shayad ki vo vaqif nahin adab-e-safar se
paani men jo qadmon ke nishan DhunD raha tha
kab tha use andaza ‘sahar’ sang-e-falak ka
shishe ke makan men jo amaan DhunD raha tha
Leave a Reply