• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jazb-E-Ulfat Ne dikhaya Asar Apna Ulta

Jazb-E-Ulfat Ne dikhaya Asar Apna Ulta

poet

jazb-e-ulfat ne dikhaya asar apna ulta

aah jab honthon par aai to kaleja ulta

rat-bhar baithe rahe muntazari men us ki

subh jab ho gai hasrat se bichhauna ulta

haq-ba-janib hai agar ham se vo mahvash phir jaae

chalan aflak ka aundha hai zamana ulta

ja-e-hairat hai jo nafrat na ho khud-bini se

nazar aata hai is aine men chehra ulta

zinat-e-rang-e-baqa chahte hain naqsh-e-fana

us muraqqe ka dikhai diya naqsha ulta

malgaji chadar-e-mahtab nazar aane lagi

us ne chehre se jo sote men dupatta ulta

ab to yaron se bhi yaari ki tavaqqoa na rahi

hal-pursi ke evaz karte hain shikva ulta

qufl darvaze men kyuun aaj nazar aata hai

kaun jhanka tumhen kis shakhs ne parda ulta

mar gaya main jo mujhe pyaar se maara us ne

sidhi talvar hua us ka tamancha ulta

mai-kada chhod ke kyuun khum men falatun baitha

aisi hi aql ne yunan ka takhta ulta

maraz-e-ishq men aram kisi taur nahin

kabhi sidha jo dam aaya to kaleja ulta

phir ulat kar na khabar li hue aise ghafil

ab to aao ki main dam leta huun ulta ulta

na to vo phuul na kaliyan na vo sabza na bahar

rut ki phirti hai chaman-zar ka takhta ulta

ek jalva to bhala aur bhi vaqt-e-rukhsat

bahr-e-gul bad-e-bahari koi jhonka ulta

‘bahr’ kya kucha-e-janan se phire ghar ki taraf

kabhi dekha nahin bahte hue dariya ulta

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo Hai Apna Ye Jatana Bhi Nahin Chahte Hum

abdul-ahad-saaz

Bambai Ki Ek Purani Sham

poet

Firaq Mein Khun-E-dil Hain Pite Sharab Hum Le Ke Kya Karenge

lipaT lipaT Ke Main Us Gul Ke Sath Sota Tha

Jab Bhi Do Aansu Nikal Kar Rah Gae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet