us ko mere afsāne meñ kyā jaane kyā baat milī
chāñd se ruḳh par ġham ke bādal āñkhoñ meñ barsāt milī
bas itnī sī baat thī us kī zulf zarā lahrā.ī thī
ḳhauf-zada har shaam kā manzar sahmī sī har raat milī
daulat aur shohrat logoñ ne qismat se aage paa.ī
aur musībat bhī ham ko to bas hasab-e-auqāt milī
vo jis ko kuchh fikr nahīñ hai har ġham se anjān hai jo
pag-pag us kī rāhguzar meñ ashkoñ kī bārāt milī
sab ummīdeñ TuuT chukī thiiñ dil thā mahv-e-yās ‘aqīl’
aur dāman thā purze purze jab ham ko ḳhairāt milī