nishan kisi ko milega bhala kahan mera
ki ek ruuh tha main jism tha nishan mera
har ek saans naya saal ban ke aata hai
qadam qadam abhi baaqi hai imtihan mera
miri zamin mujhe aghosh men sameT bhi le
na asman ka rahun main na asman mera
chala gaya tire hamrah ḳhauf-e-rusva.i
ki tu hi raaz tha aur tu hi raz-dan mera
tujhe bhi meri tarah dhuup chaaT ja.egi
agar raha na tire sar pe sa.eban mera
malal-e-rang-e-jalal-o-jamal Thahra hai
dayar-e-sang hua hai dayar-e-jan mera
ka.i ‘najib’ isi aag se janam lenge
ki meri raakh se banna hai ashiyan mera
Leave a Reply