jo main janti bisrat hain saiyyan
jo main janti bisarat hain saiyyan ghunghata men aag laga deti
main laaj ke bandhan tod sakhi piya pyaar ko apne mana leti
in churiyon ki laaj piya rakhana ye to pahan lai ab utarat na
mora bhaag suhag tumai se hai main to tum hi par jobana luta baithi
more har-singar ki raat gai piyu sang umang ki baat gai
piyu sang umang meri aas nai
ab aae na more sanvariya main to tan-man un par luta deti
ghar aae na more sanvariya main to tan-man un par luta deti
mohe priit ki riit na bhaai sakhi main to ban ke dulhan pachhtai sakhi
hoti na agar duniya ki sharam main to bhej ke patiyan bula leti
unhen bhej ke sakhiyan bula leti
jo main janti bisrat hain sayyan
Leave a Reply