rah-e-ulfat men yuun to ka.aba-o-but-ḳhana aata hai
jabin jhukti hai lekin jab dar-e-janana aata hai
safar tai ho chuka shayad dar-e-janana aata hai
ki dil su-e-jabin sajde ko be-tabana aata hai
tiri ummid-e-vasl-e-hur hai ik zohd par mabni
magar vaa.iz mujhe har sheva-e-rindana aata hai
hansi aa.e tujhe ya niind lekin aah mujh ko to
bas ai be-gana-e-dard ek hi afsana aata hai
dil ujḌa jab to phir baaqi kahan duniya men abadi
nigahen jis taraf uTThin nazar virana aata hai
hamesha hasb-e-istedad hai faizan-e-qudrat bhi
bahar aa.i chaman men dasht men divana aata hai
Thikana phir gham-e-duniya ne paaya ba.ad muddat ke
ki apne hosh men phir ‘mani’-e-divana aata hai
Leave a Reply