mujh pe rakhte hain hashr men ilzam
aa na jaa.e zaban pe tera naam
zabt ki koshishen bhi jaari hain
dard bhi kar raha hai apna kaam
jo ibarat na ho tire gham se
ahl-e-dil par vo zindagi hai haram
vaqfa-e-maut bhi ghanimat hai
kuchh to fil-jumla mil gaya aram
us ne dekha hai shaam ka manzar
jis ne dekhi hai bekason ki shaam
kis se ab dard ki dava chahun
dard uThta hai le ke tera naam
ab qayamat qarib hai ‘fani’
fitna-e-ishq ho chala hai tamam
Leave a Reply