ishq hai ikhtiyar ka dushman
sabr o hosh o qarar ka dushman
dil tiri zulf dekh kyuun na dare
jaal ho hai shikar ka dushman
saath achraj hai zulf o shane ka
mor hota hai maar ka dushman
dil-e-sozan kuun dar hai anjhuvan siin
aab ho hai sharar ka dushman
kya qayamat hai ashiqi ke rashk
yaar hota hai yaar ka dushman
‘abru’ kaun ja ke samjhave
kyuun hua dost-dar ka dushman
Leave a Reply