• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ridaen Chalen KHak-Danon Ki Jaanib

Ridaen Chalen KHak-Danon Ki Jaanib

rida.en chalen ḳhak-danon ki janib

vafa.en khule sar dukanon ki janib

tire har sitam par yunhi be-irada

nazar uTh ga.i asmanon ki janib

ajab hai ye kar-e-suḳhan sher-goi

dhakele hai ratbul-lisanon ki janib

nazar sarsara.i badan par yuun mere

baḌhe saanp jaise ḳhazanon ki janib

mira ishq kahta hai mujh se ki aa ja

tujhe le chalun main uḌanon ki janib

abhi tifl-e-maktab huun aur na-ahl bhi

kidhar le chale imtihanon ki janib

shab-e-tar kachcha ghaḌa ek dariya

main baḌhne lagi dastanon ki janib

to malbe se mere hi ta.amir hoga

gira ke mujhe baḌh makanon ki janib

meri raah chunna ki ab main ravan huun

vafaon ke raushan nishanon ki janib

ye nad-e-ali ka ajab mo.ajiza tha

sabhi tiir palTe kamanon ki janib

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wafa Kya Kar Nahin Sakte Hain Wo Lekin Nahin Karte

poet

Aap Ke Izn-E-Mulaqat Se Ji Darta Hai

Na Dil Dimagh Ka isMein Qusur Hota Hai

Bas Ek Waqt Ka KHanjar Meri Talash Mein Hai

Udasi KHatm Ho Jae Agar Tum Milne Aa Jao

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet