tasavvur se kisi ke main ne ki hai guftugu barson
rahi hai ek tasvir-e-ḳhyali ru-ba-ru barson
hua mehman aa kar raat bhar vo sham.a-ru barson
raha raushan mire ghar ka charagh-e-arzu barson
barabar jaan ke rakkha hai us ko marte marte tak
hamari qabr par roya karegi aarzu barson
chaman men ja ke bhule se main ḳhasta-dil karaha tha
kiya ki gul se bulbul shikva-e-dard-e-gulu barson
agar main ḳhaak bhi hunga to ‘atish’ gard-bad-asa
rakhegi mujh ko sar-gashta kisi ki justuju barson
Leave a Reply