Hum the Kisi Ka Dhyan Tha Wo Bhi Nahin Raha

ham the kisī kā dhyān thā vo bhī nahīñ rahā

ik rabt-e-jism-o-jān thā vo bhī nahīñ rahā

jhagḌā thā merā jis se vo duniyā kidhar ga.ī

ik shaḳhs darmiyān thā vo bhī nahīñ rahā

misl-e-charāġh tīrgi-e-jism-o-jāñ meñ dil

ik shahr-e-be-nishān thā vo bhī nahīñ rahā

īñTeñ bichhī thiiñ jis meñ vo ik tañg sī galī

us meñ mirā makān thā vo bhī nahīñ rahā

duniyā mirī nahīñ na sahī tum to saath ho

kyā kyā hameñ gumān thā vo bhī nahīñ rahā

nuqta banī nigāh se ojhal huī zamīñ

sar par ik āsmān thā vo bhī nahīñ rahā

‘mus.haf’ tumhārā naam yahīñ thā aur us pe haañ

ik surḳh sā nishān thā vo bhī nahīñ rahā

Leave a Comment