rog maiñ ne bhī ka.ī jaañ ko lagā.e barsoñ
jaane vaale bhī nahīñ lauT ke aa.e barsoñ
āḳhirash taab mashaqqat kī na āñkhoñ meñ rahī
maiñ ne rozī kī tarah ḳhvāb kamā.e barsoñ
dhuul jazboñ kī haTā.ī to ye ehsās huā
is mohabbat meñ shab-o-roz gañvā.e barsoñ
tū nahīñ thā to muqaddar bhī ġhunūda hī rahe
Thokareñ maar ke bhī ham ne jagā.e barsoñ
us kī āñkhoñ se kisī taur añdherā na gayā
diip jis ke liye ḳhuuñ se bhī jalā.e barsoñ
ruuTh kar shahr-e-ḳhamoshāñ ko ga.e aate nahīñ
hichkiyāñ le ke koī chāhe manā.e barsoñ
maiñ bhī sah paayā nahīñ terī judā.ī ko ‘hasan’
aur is dil se bhī uThtī rahī haa.e barsoñ