ek duniya mast ik aalam ḳharab
kis ne ki taqsim ankhon se sharab
ik qayamat tha vo husn-e-la-javab
ab qayamat par qayamat hai shabab
ru-e-saqi matla-e-nur-e-sharab
aftab aamad dalil-e-aftab
ishq ne kaunain par Daali nazar
husn par Thahri nigah-e-intiḳhab
ishq se behtar nahin koi gunah
hijr se bad-tar nahin koi azaab
ishq-e-nek-anjam ne muzhda diya
teri nakami hai ‘natiq’ kamyab
Leave a Reply