hai tira gaal maal bose ka
kyuun na kiije saval bose ka
munh lagate hi honth par tere
pad gaya naqsh laal bose ka
zulf kahti hai us ke mukhde par
ham ne maara hai jaal bose ka
subh rukhsar us ke niile the
shab jo guzra khayal bose ka
ankhdiyan surkh ho gaiin chat se
dekh liije kamal bose ka
jaan nikle hai aur miyan de daal
aaj vaada na taal bose ka
galiyan aap shauq se diije
rafa kiije malal bose ka
hai ye taaza shagufa aur suno
phuul laaya nihal bose ka
aks se aaine men kahta hai
khinch kar infial bose ka
barg-e-gul se jo chiiz nazuk hai
vaan kahan ehtimal bose ka
dekh ‘insha’ ne kya kiya hai qahr
mutahammil ye gaal bose ka