Rang-E-Gul-E-Shagufta Hun Aab-E-Rukh-E-Chaman Hun Main

rang-e-gul-e-shagufta huun ab-e-rukh-e-chaman huun main

sham-e-haram charagh-e-dair qashqa-e-barahman huun main

kasrat-e-jaur-e-yar se sab hain ye mere juzv-e-tan

soz-o-malal-o-yas-o-dard ranj-o-gham-o-mehan huun main

main huun nasim to bahar main huun shamim zulf-e-yar

go ki nazar se huun nihan dakhil-e-anjuman huun main

sarv-nashin aur hain shakh-nashin gul aur hain

qumri-e-ashiyan-kharab bulbul-e-be-vatan huun main

khanda-zanan hain tujh pe go ye khirdan-e-rozgar

ahl-e-khirad men ai ‘havas’ raunaq-e-anjuman huun men

Leave a Comment