jo apne ghar ko ka.aba mante hain
pas-e-divar phir kyuun jhankte hain
nahin tere junun par shak nahin hai
tiri aadat magar pahchante hain
ye azurda-jabin maazi ke baasi
na.e zaḳhmon pe yaden bandhte hain
tire ahl-e-yaqin sajdon men jhuk kar
mire kafir tira gham mangte hain
rida-e-shab to abr-e-tar se bhigi
chalo ik dhyan sar par tante hain
sitare zabt ke moti hazar ke
qaba-e-arzu par Tankte hain
tiri khoTi hansi par rone vaale
tiri ankhon ke mausam jante hain
Leave a Reply