ghamza nahin hota ki ishara nahin hota
aankh un se jo milti hai to kya kya nahin hota
jalva na ho maani ka to surat ka asar kya
bulbul gul-e-tasvir ka shaida nahin hota
allah bachae maraz-e-ishq se dil ko
sunte hain ki ye ariza achchha nahin hota
tashbih tire chehre ko kya duun gul-e-tar se
hota hai shagufta magar itna nahin hota
main nazaa men huun aaen to ehsan hai un ka
lekin ye samajh len ki tamasha nahin hota
ham aah bhi karte hain to ho jaate hain badnam
vo qatl bhi karte hain to charcha nahin hota
Leave a Reply