• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aisi Tashbih Faqat Husn Ki Badnami Hai

Aisi Tashbih Faqat Husn Ki Badnami Hai

poet

aisi tashbih faqat husn ki badnami hai

maah aariz ko likha khame ki ye khami hai

rang ye un ki sabahat ne ajab dikhlaya

surkh jode pe guman hota hai badami hai

kahte phirte ho bura mujh ko ye baat achchhi nahin

meri rusvai men sahab ki bhi badnami hai

aap ki baton se dil pak gaya jab kahta huun main

hans ke kahte hain ye ulfat ki faqat khami hai

chumta hai koi ankhon se lagata hai koi

hai libas aap ka ya jama-e-ehrami hai

nahin dagne ka qadam rah-e-vafa se apna

jo sitam chaho karo sabr mira haami hai

aap ki ishq ki iiza men hai lutf o rahat

aap par khatm miri jaan dil-arami hai

ham akele nahin rahte shab-e-tanhai men

yas-o-andoh-o-gham o hasrat-o-nakami hai

dil ko abru hain pasand aankh ko chashm-e-mai-gun

koi duniya men hilali hai koi jaami hai

lauh-e-quran jo kaha un ki jabin ko ‘zeba’

is men kuchh shak nahin tashbih ye ilhami hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ga Raha Hun KHamushi Mein Dard Ke Naghmat Main

Wo KHun Baha Ki Shahr Ka Sadqa Utar Gaya

ambareen-haseeb-ambar

Tumhaara Jo Sahaara Ho Gaya Hai

poet

Rah Kar Ke Us But-E-Gumrah Ne dhoka diya

In Makanon Se Bahut Dur Bahut Dur Kahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet