sochte hain yaar ke hi sar pe vaar den tujhe
zindagi guzarne ko ham guzar den tujhe
ham to chahte hain tujh ko dil men hi utaar den
dil to chahta hai apna aur pyaar den tujhe
kyuun badal gaya hai tu kya hua hai yaar ji
dil se apne aaj ham kyuun utaar den tujhe
ruk hamare paas tu do ghaḌi ke vaste
mil hamari zindagi ham sanvar den tujhe
baar baar naam len pyaar se yuun aap ka
sochte hain ham sada baar baar den tujhe
kyuun ‘vaqas’ ham tujhe jaan ji kahen yahan
faltu hai pyaar kya be-shumar den tujhe
Leave a Reply