saaf batin der se hain muntazir
saqiya ḳhuz ma-safa da ma-kadar
phir hayat-e-chand-roza ka ma.aal
maut par jab zindagi hai munhasir
rut badalte hi faza men guunj uTha
naghma-e-ya-ayyohas-saqi adir
aise vaadi men nahin kya rahnuma
ḳhud jahan gum-karda manzil huun ḳhizar
mashvara rahmat se kar ai adl-e-haq
kya saza jo ho ḳhata ka ḳhud muqir
kyuun hai asrar-e-do-alam ki talash
parda-e-dil men hain tere musattir
kyuun miri divangi badnam hai
un ki ankhen ḳhud huiin jab mushtahar
al-hazar pir-e-falak ki sar-kashi
dekhne men tu hai utna munkasir
kho chuka ankhen magar ai barq-e-husn
dil rahega aur rahega muntazir
sun le faryad-e-‘aziz’ jan-ba-lab
rabb-e-inni mustaghiso fal-faqra
Leave a Reply