abhi tavaqqo.a bana.e rakhna abhi umiden jaga.e rahna
bahut ghana hai andhera shab ka dilon ki sham.en jala.e rahna
ḳhuda hi jaane ki aane vaali ruton men kya ho jahan ki halat
abhi ye naghme na band karna abhi ye mahfil saja.e rahna
ye dekhna hai ki dam hai kitna ghanim lashkar ke bazuon men
safon ko apni saja.e rakhna suron ko apne uTha.e rahna
yahan kahan bastiyon ki raunaq yahan to sannaTa chiḳhta hai
ujaaḌ sahra ka ye safar hai dilon ki duniya basa.e rahna
abhi hai ḳhatra nafas nafas par abhi hain qatil gali gali men
‘shakil’ ankhen na band karna ‘shakil’ ḳhud ko jaga.e rahna
Leave a Reply