• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Jo Mujhse Aur Junun Se Yan baDi Jang Hoti Hai Der Se

Ye Jo Mujhse Aur Junun Se Yan baDi Jang Hoti Hai Der Se

ye jo mujh se aur junun se yaan baḌi jang hoti hai der se

so kuchh aisi Dhab se laḌa.i hai laḌe sher jaise ki sher se

bani shakl laila-e-nau-javan mire daata kya kahun al-aman

vo tajalli ek jo hui ayaan kisi raat qais ke Dher se

abhi do mahine se huun juda na to ḳhvab men bhi nazar paḌa

bhala aur andher ziyada kya kahin hoga aise andher se

mujhe shamiyana tale se kya mira dil to kahta hai mujh se aa

sar-e-rah koThe pe baiTh ja yahin takiya de ke munDer se

tiri badle ki ye oḌhni are barq kaunde nazar men tab

kare ye ghaTa jo muqabla kisi peshvaz ke gher se

nahin intizar ke hausle mujhe sujhe saikḌon artale

qasam un ne khaa.i to hai vale mira ji Dare hai adher se

bhala mujh se dev ke samne koi Thonk sakte hain ḳham bhala

are ye anguThe se aadmi to bichare ḳhud hain baTer se

”vahi pi kahan vahi pi kahan” yahi ek raT si jo hai so hai

maharaj choT si lagti hai mujhe is papihe ki Ter se

ghazal ‘insha’ aur bhi ek likh isi bahar aur radif ki

ki zabar ki qafiye jis men hon mujhe nafrat aa ga.i zer se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aagahi Aaine Talak Hai Kya

poet

Dekhna Husn-E-Talab Kya Mangne Aaya Hun Main

Ek suKHan Ko Bhul Kar Ek Kalam Tha Zarur

poet

Be-Misl-O-Be-Hisab Ujalon Ke Baad Bhi

Na Ghurur Hai KHirad Ko Na Junun Mein Bankpan Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet