bas yunhi ik vahm sa hai vaqi.a aisa nahin
aa.ine ki baat sachchi hai ki main tanha nahin
baiThiye peḌon ki utran ka alaav tapiye
barg-e-sozan ke siva darvesh kuchh rakhta nahin
uf chaTaḳhne ki sada se kis qadar Darta huun main
kitni baten hain ki danista jinhen socha nahin
apni apni sab ki ankhen apni apni ḳhvahishen
kis nazar men jaane kya jachta hai kya jachta nahin
chain ka dushman hua ik mas.ala meri taraf
us ne kal dekha tha kyuun aur aaj kyuun dekha nahin
ab jahan le jaa.e mujh ko jalti-bujhti aarzu
main bhi is jugnu ka pichha chhoḌne vaala nahin
kaisi kaisi pursishen ‘anvar’ rulati hain mujhe
ketiyon se kya kahun main abr kyuun barsa nahin
Leave a Reply