lahu men tar hai zamane ka intiḳhab vajud
salib-e-vaqt pe aaya hai kamyab vajud
hasad ki aag men jalte raho to jalte raho
chaman ki ḳhaak men hoga mira gulab vajud
vajud-e-ḳhak hi to ḳhaak ki amanat hai
tumhara ḳhauf rahega mira hijab vajud
ye TuTta nahin jhukta nahin badalta nahin
tumhare saare savalon ka hai javab vajud
tumhare din men mira naam hi to suraj hai
tumhari raat men ‘manzar’ hai mahtab vajud
Leave a Reply