• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-E-Fariyaad Nahin

Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-E-Fariyaad Nahin

dil hamara hai ki ham ma.il-e-fariyad nahin

varna kya zulm nahin kaun si bedad nahin

husn ik shan-e-ilahi hai magar ai be-mehr

bevafa.i to koi husn-e-ḳhuda-dad nahin

sar-e-turbat vo ḳhamoshi pe miri kahte hain

marne vaale tujhe paiman-e-vafa yaad nahin

husn-e-arasta qudrat ka atiyya hai magar

kya mira ishq-e-jigar-soz ḳhuda-dad nahin

laakh paband-e-ala.eq na rahe koi yahan

tab-e-varasta magar fikr se azad nahin

baham a.in-e-vafa rasm-e-mohabbat kaisi

vaqt ab vo hai ki bandon ko ḳhuda yaad nahin

chashm-e-maḳhmur vo hai kabil-e-gharq-e-mai-e-nab

daftar-e-ishq pe jab tak ki mire saad nahin

puchhte kya ho tabahi ka fasana mujh se

dil-e-barbad ki surat bhi mujhe yaad nahin

zarre zarre men hai ik alam-e-ma.ani pinhan

ḳhak-e-barbad ko samjhe ho ki abad nahin

aap kahte hain ki hai gor-e-ghariban viran

aisi basti to jahan men koi abad nahin

ansuon ko bhi zara dekh le rone vaale

in sitaron men to duniya koi abad nahin

husn-e-ḳhud main ne kiye aa.ine ke sau TukḌe

ab na kahna ki nigahen sitam-ijad nahin

kab ḳhayalat pe mumkin hai kisi ka pahra

dil to azad raha main agar azad nahin

sina-kavi ke liye shart hai dil ki himmat

naḳhun-e-dast-e-junun tesha-e-farhad nahin

be-ḳhudi manzil-e-irfan hai zara hosh men aa

hai ḳhudi ka ye natija ki ḳhuda yaad nahin

tabqa-e-ḳhak men hai alam-e-ḳhaosh-abad

jis ko barbad samajhte ho vo barbad nahin

dil-e-viran ki tabahi ki koi had hai ‘aziz’

main samajhta huun ki duniya abhi abad nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Apna Nafas Nafas Hai Ki Shoala Kahen Jise

ahmad-hamdani

Lamha Lamha Kah Rahi Hain Kuchh Fazaen Aag Ki

Dil Pe Thi Sabt Jo Tahrir miTai Na Gai

shaista-mufti

Aaina dekha To Surat Apni Pahchani Gai

Dekho Abhi Lahu Ki Ek Dhaar Chal Rahi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet