guzar is hujra-e-gardun se ho kidhar apna
qaid-khana hai ajab gumbad-e-be-dar apna
shakl rahne ki hai basti men ye us bin apni
jaise jangal men banata hai koi ghar apna
shab ki be-tabiyan kya kahiye ki dekha jo sahar
tukde tukde nazar aaya hamen bistar apna
ham-nashin us ko jo laana hai to la jald ki ham
thame baithe rahen kab tak dil-e-muztar apna
vo gae din ki sada mai-kada-e-hasti men
bada-e-aish se labrez tha saghar apna
tab-e-nazzara tiri laae na khurshid zara
haath jab tak ki na rakh le vo jabin par apna
denge sar ishq ke saude men agarche ham ko
is men nuqsan nazar aata hai sarasar apna
hai zamin khuub ghazal-dar-ghazal is ko kahiye
bas ki maamul hai ‘jurat’ yahi akasr apna
Leave a Reply