gesu-e-sher-o-adab ke pech suljhata huun main
zulmat-e-shab men payam-e-sub.h-e-nau laata huun main
barbat-e-dil ke mire naghme nahin sho.ale hain ye
garmi-e-ehsas se duniya ko garmata huun main
is jahan-e-ab-o-gil par Dalta huun jab nazar
zindagani ko sarasar kashmakash paata huun main
kyuun nahin insan samajhta uns ko rah-e-hayat
sham.a ki manind is gham men ghula jaata huun main
sho.ala-e-ulfat madad ai chara-saz-e-gham madad
sard-mehri se jahan ki bujh ke rah jaata huun main
ye kitab-e-zindagi bhi chistan se kam nahin
har varaq men dastan-dar-dastan paata huun main
qadr-dani ki umiden kam-nigahi ke gile
aadmi ko aadmi se be-ḳhabar paata huun main
dekhna jud-o-karam un ka ḳhuda.i baḳhsh den
apna daman dekh kar ai ‘taj’ sharmata huun main
Leave a Reply