jahan-e-rang-o-bu par chha raha hai
har ik parde se vo jalva-numa hai
bashar Thokar pe Thokar kha raha hai
saza apne kiye ki pa raha hai
tamanna aur phir un ki tamanna
ye irfan-e-ḳhudi ki intiha hai
buton ko dekh kar aata hai tu yaad
buton ke husn men jalva tira hai
kahin tu hai kahin tasvir teri
na ka.aba hai na koi but-kada hai
tumhari yaad kar leta huun taaza
buton ko kaun kafir pujta hai
nahin chara kisi ke paas is ka
mohabbat ek dard-e-la-dava hai
sharab-e-zist piita ja raha huun
surur-e-hosh baḌhta ja raha hai
jigar men chubh rahi hai nok-e-mizhgan
bala ka dard ‘farigh’ ho raha hai
Leave a Reply