tumhara istiara aankh men hai
jahan saare ka saara aankh men hai
jahan do dil mohabbat se mile the
vo manzar vo nazara aankh men hai
nazar ki vusaton se dil ki had tak
tumhara har ishara aankh men hai
jahan mere sahare chhin gae the
vo sahra be-sahara aankh men hai
tumhare vasl ke lamhe se ab tak
tumhara qurb saara aankh men hai
mohabbat ke hasin khvabon ke badle
ye kis gham ka ishara aankh men hai
mire ashk-e-ravan ye kah rahe hain
ki mauj-e-be-kinara aankh men hai
udasi ke diye ham-rah le kar
shab-e-furqat ka taara aankh men hai
jo vo khamosh ho to aankh bole
sukhan saare ka saara aankh men hai
jahan par tum bichhad kar mil na paae
vo sham-e-be-nazara aankh men hai
tu mera jism hai jaan hai tu meri
talab ka goshvara aankh men hai
Leave a Reply