• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Ke Aate Hi Ye Naqsha Ho Gaya

dil Ke Aate Hi Ye Naqsha Ho Gaya

poet

dil ke aate hi ye naqsha ho gaya

kya bataun dosto kya ho gaya

tum ne fursat paai ghar baithe tabib

mar gaya bimar achchha ho gaya

kar chuka tha kaam afsun-e-raqib

aaj ham se un se parchha ho gaya

un pe dil aaya badi mushkil padi

muddai pahlu men paida ho gaya

haae betabi ne meri kya kiya

haal sab un par huvaida ho gaya

ek zalim par tabiat aa gai

phir vahi ab haal mera ho gaya

shukr hai paida kiya khaliq ne jism

ruuh ka kuchh din ko parda ho gaya

khul gae zakhmon ke munh achchha hua

dard ke badhne ko rasta ho gaya

tu hi chal ai ruuh josh-e-shauq hai

khat ke aane men to arsa ho gaya

vaqt-e-bad kuchh puchh kar aata nahin

hanste hanste un se jhagda ho gaya

haal kyuun abtar hai is darja ‘nasim’

sach kaho dil kis pe shaida ho gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

firaq-gorakhpuri

Komal Pad-Gamini Ki Aahat To Suno

Mujhe Is Shahr Ki Aab-O-Hawa Achchhi Nahin Lagti

Junhi Baam-O-Dar Jage

allama-iqbal

Tariq Ki dua

poet

Nala Shab-E-Firaq Jo Koi Nikal Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet