dil ki aarzu thi dard dard-e-be-dava paaya
kya saval tha mera aur kya javab un ka
ishq ki latafat ko ḳhak-e-tur kya jaane
mujh pe thi nazar un ki mujh se tha ḳhitab un ka
alam-e-tamanna hai ḳhvab ka sa ik aalam
shauq-e-na-tamam apna ishva kamyab un ka
kam na thi qayamat se sub.h-e-afrinash bhi
meri muztarib nazren aur intiḳhab un ka
Leave a Reply