ku-ba-ku ishq men avara-o-rusva huun main
ab mira haal to ye hai ki tamasha huun main
ruḳhsat ai pas-e-adab al-madad ai jur.at-e-ishq
aaj amada-e-iz.har-e-tamanna huun main
koi mahfil koi aalam ho jahan aap nahin
mujh ko mahsus ye hota hai ki tanha huun main
tum ko ehsas nahin ik miri gham-ḳhvari ka
mujh ko dekho ki sharik-e-gham-e-duniya huun main
naghma-e-shauq jo sunna ho to mizrab uTha
chheḌ kar dekh ki ik saz-e-tamanna huun main
ek ujḌe hue ghar ka sa diya huun ya.ani
jab kabhi koi jalata hai to jalta huun main
Leave a Reply