na puchho vaj.h meri chashm-e-tar ki
miyan phir gir ga.i divar ghar ki
ye maana dhul gaya suraj saron se
mire angan ki dhuup ab tak na sar ki
jabin tar ḳhushk-lab talvon men chhale
yahi rudad hai apne safar ki
badi neki izafi mas.ale hain
hukumat hai dilon par sirf Dar ki
gumanon ka muqaddar hai bhaTakta
yaqin ne har muhim duniya ki sar ki
na saaya hai na shaḳhon men samar hain
zarurat kya hai ab sukhe shajar ki
jhulasti dhuup barish sard raten
ba-har-surat ‘ziya’ ham ne basar ki
Leave a Reply