mujh ko ma.alum tha main aur sanvar ja.unga
ghar se niklunga to har samt bikhar ja.unga
raaz maujon ke samundar ne bata.e hain mujhe
yahan Dubunga kahin aur ubhar ja.unga
abhi susta.unga kuchh der isi dorahe par
ba.ad men sochunga dekhunga kidhar ja.unga
main to barzaḳh ke andheron men jala.unga charagh
main nahin vo ki jo maut aa.i to mar ja.unga
zindagi yuun tujhe rahne nahin dunga be-rang
teri tasvir men kuchh rang to bhar ja.unga
main huun dariya hai ravani miri daa.im ‘betab’
koi sailab nahin huun ki utar ja.unga
Leave a Reply