shab-e-gham hai koi aansu ufuq par jalva-gar kyuun ho
sahar hone se pahle chaak daman-e-sahar kyuun ho
nazar marhun-e-jalva hai na marhun-e-nazar jalva
jahan ho aap ka jalva vahan meri nazar kyuun ho
nigah-o-dil men jitna fasla ho vajh-e-qurbat hai
nigah-o-dil men jitna fasla hai muḳhtasar kyuun ho
jahan kanTe na hon gul hon jahan patthar na hon sar hon
vo koi ghar to ho sakta hai lekin mera ghar kyuun ho
jahan main huun vahan sab ke gareban chaak hain ‘nashtar’
kisi ko intizar-e-mausam-e-divana-gar kyuun ho
Leave a Reply