nigah teri ka ik zakhmi na tanha dil hamara hai
jagat saara tiri in shokh do ankhiyon ka maara hai
hue hain ashiqan ki fauj men ham sahib-e-naubat
bajaya aah ke danke seti dil ka naqara hai
hamara din-o-mazhab ai sajan teri itaat hai
khuda ka kyuun na ho banda ki jin tujh kuun sanvara hai
bujha ai bevafa paani suun apni mehrbani ke
dahakta dil manin mere tire gham ka angara hai
khajil ho kar miri anjhuvan ki jhad sen abr paani ho
tadapna dekh kar dil ka hamara barq haara hai
hamen to raat din dil siin tumhari yaad hai pyare
tuman nen is qadar pyare haman kuun kyuun bisara hai
nazar karna karam siin ‘abru’ pe tum kuun lazim hai
kisi laaeq nahin to kya hua akhir tumhara hai
Leave a Reply