
Poet
har gham pe aj-kal hai ḳhushi ka guman mujhe
le aa.i yad-e-yar kahan se kahan mujhe
manzur zauq-e-did ka ho imtihan mujhe
ye taab ye majal ye taqat kahan mujhe
yarab qafas ki ḳhair ki dekha jo ḳhvab bhi
aaya hai bijliyon men nazar ashiyan mujhe
azadi-e-ḳhayal ke vo rang ab kahan
tha ibtida men kunj-e-qafas ashiyan mujhe
zauq-e-talab ka raaz yahi zindagi yahi
har karvan hai gard-e-pas-e-karvan mujhe
main jan-e-rang-o-bu huun main ara.ish-e-chaman
tu kya samajh raha hai mire baghban mujhe
tevar nigah-e-naz ke kuchh din yahi jo hain
yara-e-zabt-e-raz ‘jamali’ kahan mujhe

Leave a Reply