nazaa ki sakhti badhi un ko pasheman dekh kar
maut mushkil ho gai jiine ka saman dekh kar
vo kabhi jab iltifat-e-naz se lete hain kaam
kaanp jaata huun main apne dil ke arman dekh kar
karte hain arbab-e-dil andaza-e-josh-e-bahar
mera daman dekh kar mera gareban dekh kar
vo na agla baghban hai ab na agle ham-safir
yaad karta huun qafas ko main gulistan dekh kar
allah allah mujh sa aasi darkhur-e-rahmat hua
rashk-e-zahid to bhi hai ye qadr-e-isyan dekh kar
ai but-e-kafir maaz-allah ye tera shabab
koi kafir hi rahega ab musalman dekh kar
in buton ne mujh ko be-khud kis qadar dhoke diye
sidha-sada jaan kar mard-e-musalman dekh kar
Leave a Reply