aah mizrab-e-mohabbat ke siva kuchh bhi nahin
saaz aahon ki ibadat ke siva kuchh bhi nahin
zindagi par jo kabhi tum ne inayat ki thi
ab vo taufiq-e-inayat ke siva kuchh bhi nahin
aur hasil ho koi gham to ajal ko samjhen
zindagi raz-e-haqiqat ke siva kuchh bhi nahin
aur afsana-e-mazi men to rakha kya hai
ab sukun lafz-e-rivayat ke siva kuchh bhi nahin
Leave a Reply