yaan khaak ka bistar hai gale men kafani hai
vaan haath men aina hai gul pairahani hai
hathon se hamen ishq ke din raat nahin chain
fariyad o fughan din ko hai shab nara-zani hai
hushyar ho ghaflat se tu ghafil na ho ai dil
apni to nazar men ye jagah be-vatani hai
kuchh kah nahin sakta huun zaban se ki zara dekh
kya jaae hai jis jaae na kuchh dam-zadani hai
mizhgan pe mire lakht-e-jigar hi nahin yaaro
is taar se vo rishta aqiq-e-yamni hai
likh aur ghazal qafiye ko pher ‘zafar’ tu
ab taba ki dariya ki tiri mauj-zani hai
Leave a Reply