Wo Din Bhi the Ki in Aankhon Mein Itni Hairat Thi

vo din bhī the ki in āñkhoñ meñ itnī hairat thī

tamām bāzīgaroñ ko mirī zarūrat thī

vo baat soch ke maiñ jis ko muddatoñ jiitā

bichhaḌte vaqt batāne kī kyā zarūrat thī

patā nahīñ ye tamannā-e-qurb kab jaagī

mujhe to sirf use sochne kī aadat thī

ḳhamoshiyoñ ne pareshāñ kiyā to hogā magar

pukārne kī yahī sirf ek sūrat thī

ga.e bhī jaan se aur koī mutma.in na huā

ki phir difā.a na karne kī ham pe tohmat thī

kahīñ pe chuuk rahe haiñ ye ā.īne shāyad

nahīñ to aks meñ ab tak mirī shabāhat thī

Leave a Comment