saqiya aisa pila de mai ka mujh ko jaam talkh
zindagi dushvar ho aur ho mujhe aram talkh
main to shirin-tar shakar se bhi samajhta huun use
jab vo dete hain bura kah kar mujhe dushnam talkh
bazm-e-mai men zikr tak aane nahin dete hain vo
hai hamara naam goya zahr ka ik jaam talkh
kya sabab lete nahin vo naam tak mera kabhi
khauf is ka hai na ho jaaen zaban-o-kam talkh
ishq ke phande se bachiye ai ‘haqir’-e-khasta-dil
is ka hai aghaz shirin aur hai anjam talkh
Leave a Reply