haan tire pyaar ki bahar huun main
is kahani ka iḳhtisar huun main
be-qarari men ik qarar huun main
zarre-zarre se ashkar huun main
ai miri ziist ki hasin ummid
sub.h ka teri e’tibar huun main
mish.al-e-rah zindagi hai tu
aur manzil ki razdar huun main
kaun janega kaun samjhega
kis qadar kitni be-qarar huun main
miri ankhon ki raushni hai tu
tu hai suraj tira hisar huun main
zulmaton ke ḳhilaf ai ‘raje’
ek shamshir-e-ab-dar huun main
Leave a Reply