patthar nazar thi va.iz-e-ḳhana-ḳharab ki
TuuTi hai kya taḌaq se botal sharab ki
kuchh asman ne ḳhaak uḌaa.i pas-e-fana
kuchh tum ne ai buto miri miTTi ḳharab ki
pi kar na zabt va.iz-e-kam-zarf se hua
kya apne saath mai ki bhi miTTi ḳharab ki
kanTa huun baagh men to main bijli huun charḳh par
ye rang-e-laghari hai vo shakl iztirab ki
bu-e-sharab aati hai har ik nafas ke saath
pahlu men dil hai ya koi botal sharab ki
lail-o-nahar bhi hain hasinon ke vaste
din aftab ka hai to shab mahtab ki
mere gunah jo chashm-e-karam men sama ga.e
ankhen jhuka ke rah ga.i mizan hisab ki
aa.i jo ruuh paikar-e-ḳhaki men ai ‘vasim’
ghabra ke bol uThi miri miTTi ḳharab ki
Leave a Reply