ab jo ham ziist men bezar nazar aate hain
har taraf apne ḳharidar nazar aate hain
vo hamen maḳhzan-e-asrar nazar aate hain
ham unhen ashiq-e-bezar nazar aate hain
ham ko mai-ḳhvar hi mai-ḳhvar nazar aate hain
sab mai-e-ishq se sarshar nazar aate hain
bad-zani zulm-o-sitam hajv-e-sanam rusva.i
ishq men to baḌe azar nazar aate hain
sab ka dil lete hain aur apna nahin dete hain
aap ham ko baḌe hoshyar nazar aate hain
ḳhatm mujh par hi nahin ishq masiha mere
mujh ko to aap bhi bimar nazar aate hain
ab jo rusva.i pe meri unhen dard aaya hai
baryabi ke kuchh asar nazar aate hain
dasht-paima.i se jab abla-pa sota huun
ḳhvab men aap guhar-bar nazar aate hain
ek vo hain ki zamane men hai shohra jin ka
ek ham mulk pe jo baar nazar aate hain
kuḌe-karkaT ka milega na vilayat men nishan
hind men har taraf ambar nazar aate hain
kis se shikva karun ‘rahbar’ ki sabhi ab to mujhe
mere dilbar ke talabgar nazar aate hain
Leave a Reply